Gazal - Kavita - Nazm
By alka jain

 

Gungunana bhul gaye.........


Sadiyan gujri hum gungunana bhool gaye
zindgi ka khubsoorat har fasana
bhool gaye

doobe rahe kuch is tarah mazi ke gamon mein
sahil pe aane ka har bahana bhool gaye

kanton se ulzhay huay daman ki fikhr mein
ek phool gaysuon mein hum lagana bhool gaye

roye hum itna bas haadson pe kal ke
aaj ki khushiyon pe muskurana bhool gaye

raaste bhi pyaar ke kuch ajnabi se ho gaye
dil si dil ki baat sunna sunana bhool gaye


Aapki marzi hai........


Gilee lakri hun
mai ek sulagti hui
ya tuta tara hun ek
aasman se
aapki marzi hai
muzhe koi bhi naam daydain.
aapki marzi hai
muzhe koi bhi naam daydain.
zindgi mainay to
dozakh ki tarah
paayi hai
darde-mujassam
mila bas jahan se
aapki marzi hai
muzhe hee ilzaam daydain
aapki marzi hai

muzhe hee ilzaam daydain.


Na to ye jaan gayee aur na hi ye dard thama
ummiday-marg main hum bus tadapte rah gaye.

* * *
Kahte ho mai na tadpa karun maazi ke haadson par
yaadon ke siwa ab mere daaman main kya bacha hai.

* * *
Maazi ki laash hi to yarab ab hamara saleeb hai
kandhay pe rakh chlainge to manzil ka pata hoga.

* * *
Kafas ki hawa hamain bus yun raas aa gayee
taaza hawa main ab dum ghutnay lagta hai.


katahre huay jaate hain.................


Cheekhta hai sannata hum bahre huay jaate hain
din per udaas raat ke pahre huay jaate hain

ronay lagi hai shaam kandhay pe sar rakhkar
dil ke zakhm aur bhi gahre huay jaate hain

dil ko saath lekar din ye doobta hai
baynakaab dard ke chahre huay jaate hain

tanhaiyon ke shor se ghbra gaya hai dil
ghar ki deewaron ke katahre huay jaate hain

 

 

Aaj phir kiske armano ka katl hua
khoon main daman bhigokar ye shaam soti hai
shabnam ki boonde phisal rahi hain galon par
kiski yaad main aaj phir ye raat roti hai.

* * *

Ye badal aaj kyon itna ulajh gayein hain
shaam kuch jyada hi baychain nazar aati hai
khoon to zakhmain-dil ka bikhar hi jata hai
khamkhan yun hi pareshaan hui jaati hai.


Kuch loge ......


Kal mere khwaabon ka janaza utha tha
mathay ka jab ye sindoor luta tha
duniyadaari nibhani jaruri samajhkar
kandha bhi dayne aaye thay kuch loge

aankhon main meri to sawan basa tha
hoton pe aahon ka kuhraam macha tha
kitne ahsaan mujhpar kiye aaj tak
iska hisaab dene aaye thay kuch loge

seene main kaisa ye khanzar laga tha
khoon ka dariya to roke na ruka tha
muththiyaan to jinki namak se bhari thi
mere ghaw bharne aaye thay kuch loge.

 

book1

book2